Saturday, October 14, 2006

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon hain

log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN
itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN

main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon
roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN

neend se mera taaluq hi nahin barso sein
khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN

mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye
aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN

Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe

Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe
baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe

tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni
dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe

khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka
ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe

aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne
gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe

Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar beech aaeeena rakhna kitna mushkil hai

kitna aasaaN hai tasveer banaana auroN kee
khud ko pase-aaeenaa rakhna kitna mushkil hai

tumne mandir dekhe honge ye mera aangan hai
ek diya bhee jalta rakhna kitna mushkil hai

chullu meiN ho dard ka dariya dhyaan meiN uske hoNTh
yuN bhee khud ko pyaasa rakhna kitna mushkil hai

Neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai

baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko
Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai

ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki
kisi deewar ke saye ka barosa kya hai

apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'
warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai

Apni aankho ke samundar mein utar jaane de

apni aankho ke samundar meiN utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de

ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna
pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de

aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee
koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de

zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko
soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de

Tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi

tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi

Fir usi raah guzar kar shaayad

fir usi raah guzar kar shaayad
hum kabhi mil sakeN magar shaayad

jaan pehchaan se kya hoga
fir bhi ae dosth gaur kar shaayad

muntjir jinke hum rahe unko
mil gaye aur hum-safar shaayad

jo bhee bicHDe hain kab mile hain 'faraar'
fir bhee tu intezaar kar shaayad

Dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede

dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede
fir se ek baar muJhe meri jawaani dede

abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN
koi to shaam muJhe aisi suhaani dede

nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam
tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede

har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe
hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede

Maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon main

maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN
lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN

insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh
yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN

chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN

'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN

Aisa lagta hai zindagi tum ho

aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho

ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho

main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanoN ki chandni tum ho

dostoN se wafa ki ummeedeN
kis zamaane ke aadmi tum ho

Mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle

mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle
use samaJhne ka koi to silsila nikle

kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara
na jaane kaun sa panna muDa hua nikle

jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai
usi ke baare meiN socho to faasila nikle

Aap ko bhool jaayen hum itnin to bewafa nahin

aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin
aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin

sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai
humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin

kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile
wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin

juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon
kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN

Shola ho bhadakne ki guzaarish nahin karta

shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta
sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta

girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin
chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta

maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi
wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta

humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'
main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta

Safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo
sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo

kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai
tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo

yahan kisi ko koi raasta nahin deta
muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo

yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN
inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo

Huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon

huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon
idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon

nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai
tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon

unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon

yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin
ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon

Manzil na de charaag na de hauslaa to de

manzil na de charaag na de hauslaa to de
tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de

maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab
lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de

barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb
mere khuda kahaN hai tu apna pata to de

beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar
lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de

Aankh se aankh milaa, baat banaata kyoon hai

aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai

Teri khushboo mein base khat

jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha
jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha
din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha
tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe
salha-saal mere naam baraabar likhe
kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe
pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise
tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise
tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN
aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.

Kabhi to khul ke baras abr-e-meherbaan ki tarah

kabhi to khul ke baras abr-e-meherbaaN ki taraH
mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH

main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN
muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH

kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland
jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH

bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth
guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH

Socha nahin achcha bura dekha suna kuch bhi nahin

socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN

dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN

jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN

ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN

Kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah

kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah
log milte haiN badalte huye mausam kee tarah

mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de
hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah

maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos
dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah

kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai
dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah

Ye to nahin ke gam nahin

Ye to nahiN ke gam nahiN
haaN meri aaNkh nam nahiN

tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN

ab na khushi kee hai khushi
gam ka bhi ab to gam nahiN

maut agar che-maut hai
maut se zeest kam nahiN

Ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de

ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de

tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine
aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de

aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin
meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de

Bahut dinon kee baat hai

bahut dinoN kee baat hai
fizaa ko yaad bhi nahiN
ye baat aaj kee nahiN
bahut dinoN kee baat hai

shabaab par bahaar thee
fizaa bhi khush-gawaar thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
kisi ne muJhko rok'kar
badi adaa se Tok'kar
kaha tha lauT aae'iye
meri kasam naa jaai'iye

par muJhe khaBar na thee
maahOl par nazar na thee
naa jaane kyoon machal pada
maiN apne ghar se chal pada
maiN shehaR se phir aa gaya
khayal thaa ke paa gaya
us'e jo muJhse door thee
magar meri zaroor thee

aur ik hasiN shaaM ko
maiN chal paDa salaam ko
gali ka rang dekh'kar
nayee tarang dekh'kar
muJhe baDi khushi huyee
maiN kuch isi khushee meiN tha
kisi ne Jhaank'kar kaha
paraaye ghar se jaai'iye
meri kasma na aai'iye

wahi haseeN shaam hai
bahaar jiska naam hai
chala hooN ghar ko choDkar
na jaane jaaoonga kidhar
koi nahiN jo Tok'kar
koi nahiN jo Rok'kar
kahe ke laut aai'iye
meri kasam na jaai'iye
meri kasam naa jaai'iye ......

Ik nazar dekh ke hum jaan gaye

ik nazar dekh ke hum jaan gaye
aap kya cheez haiN pehchaan gaye

fir bhi zinda hooN ajab baat hai ye
kab se ho leke meri jaan gaye

tum jo aaye to bhari mehfil meiN
dil gaye haath se eemaaN gaye

jis jagah par na farishte pahuNche
us jagah aaj ke insaan gaye

Humko dushman kee nigahon se na dekha keeje

humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe

chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega
is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe

roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee
kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe

kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe

Jabse hum tabah ho gaye

jabse hum tabah ho gaye
tum jahan-panah ho gaye

husn par nikhaar aa gaya
aayine se aah ho gaye

aandhiyoN ki kuch khata nahiN
hum hi dard-e-raah ho gaye

dushmanoN ko chitthiyaN likho
dosth khair-baah ho gaye

Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhe ho jaayega

mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega
diwaroN se takraaOge jab ishq tumhe ho jaayega

har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge
tabeejeN bhi bandhwaaOge jab ishq tumhe ho jaayega

tanhaayee ke jhoole jhoolOge har baat puraani bhoolOge
aayine se ghabraOge jab ishq tumhe ho jaayega

jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega
tum bhi ghar der se aaOge jab ishq tumhe ho jaayega

bechaiNi jab baDh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi
tum meri ghazaleN gaOge jab ishq tumhe ho jaayega

Tumne sooli pe latakte jise dekha hoga

tumne sooli pe latakte jise dekha hoga
waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga

khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga
kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga

maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar
rang hoga na badan hoga na chehra hoga

Paseene paseene huye jaa rahe ho

paseene paseene huye jaa rahe ho
ye bolo kahaN se chale aa rahe ho

hameN sabR karne ko keh to rahe ho
magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho

ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho

ye aaina hai ye to sach hi kahega
kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho

Jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la

jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la
zara si pyaas to buJha sharaab la sharaab la

tere shabab par sada karam rahe bahaar ka
tuJhe lage meri dua sharaab la sharaab la

yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh meiN
mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la

tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja
na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la

Dhal gaya aaftaab ae saaqi

Dhal gaya aaftaaB ae saaqi
la pila de sharaab ae saaqi

ya suraahi laga mere mooh se
ya ulaT de naqaab ae saaqi

maikada choD kar kahaN jaaooN
hai zamana kharaaB ae saaqi

jaam bhaR de gunaahgaarOn ke
ye bhi hai ik sawaab ae saaqi

aaj peene de aur peene de
kal karenge hisaab ae saaqi

Dil ke deewaron dar pe kya dekha

dil ke deewaroN dar pe kya dekha
bas tera naam hi likha dekha

teri aankhoN meiN humne kya dekha
kabhi qaatil kabhi khuda dekha

apnee soorat lagi paryee si
jab kabhi humne aa'inah dekha

haaye andaaz tere ruKne ka
waqt ko bhi ruKa ruKa dekha

tere jaane meiN aur aane meiN
humne sadiyoN ka faasila dekha

phir na aaya khayaal zannat ka
jab tere ghar ka raasta dekha

Charaag aaftaab gum, badi haseen raat thee

charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee
shabaaB ki naqaaB gum, baDi haseen raat thee

muJhe pila rahe the wo ke khud hi shamma buJh gayee
gilaas gum, sharaab gum, baDi haseen raat thee

likHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai
huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee

laboN se laB jo mil gaye, laboN se laB hi sil gaye
sawaal gum, jawaab gum, baDi haseen raat thee

Jis mod par kiye the hum intejaar barson

jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN
us'se lipaT ke roye, deewana-waar barsoN

tum gulsitaN se aaYe zikRe khizaaN hilaaye
humNe kafas meiN dekhi fasle bahaar barsoN

hoti rahee hai yuN to barsaat aasuOn kee
uTh'Te rahe hain phir bhi dil se gubaaR barsoN

wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha
karte raheN hai jiska hum intezaar barsoN

Uss mod se shuru karen phir ye zindagi

us's mod se shuru kareN phir Ye zindagi
har shay jahaN haseen thee, hum tum the ajnabi

lekar chale the hum jiNhe jannat ke khwaab the
phooloN ke khwaab the wo mohabbat ke khwaab the
lekin kahan hai unmeiN wo pehle see dilkashi

rehte the hum haseeN khaYaaloN ki bheeD meiN
ulJhe huye haiN aaj sawaaloN ki bheeD meiN
aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghaDi

shaayad ye waqt humse koi chaal chal gaya
rishta wafa ka aur hi rangoN meiN dhal gaya
ashkoN ki chandini se thee behtar wo dhooP hi

Zindagi tujhko jiya hai koi afsoos nahin

zindagi tuJhko jiya hai koi afsoos nahiN
zehar khud maiNe piya hai koi afsOs nahiN

maiNe muJrim ko bhi muJrim na kaha duniYa meiN
bas yahi zurm kiya hai koi afsOs nahiN

meri kismat meiN jo likkhe the unHi kaanToN se
dil ke zakhmoN ko seeya hai koi afsOs nahiN

ab gire sanG ke sishoN ki hoon baarisH 'faakir'
ab kaFan ODh liya hai koi afsOs nahiN

Shayad main zindagi ki sahar le ke aa gaya

shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya
qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya

taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki
anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya

nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada
lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya

'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar
ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya

Kaagaz Ki Kashti

ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
bhale cheen lo muJhse meri jawaani
magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

mohalle ki sabse nishaani purani
wo buDhiya jise bachche kehte the naani
wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera
bhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

kaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna
wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa
wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
gharOnde banana, banaake miTaana
wo maasoom chaahat ki tasveer apni
wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni
na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
baDi khoobsoorat thi wo zindgaani

Baad muddat unhen dekh kar yun laga

baad muddat unheN dekh kar yun laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarzoo ke gul muskuraane lage
jaise gulshan meiN bahaar aa gaya

tishna nazreN mili shokh nazroN se jab
maiN barasne lagi jaam bharne lage
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN
bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya

raat sone lagi subah hone lagi
shamma buJhne lagi dil machalne lage
waqt ki roshni meiN nahaayee huyi
zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya

Tamannaon ke bahlave mein aksar aa hi jaate hain

tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN
kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate haiN

ham aksar dostoN ki bewafee seh to lete haiN
magar hum jaante haiN dil hamaare TooT jaate haiN

kisi ke saath jab beete huye lamhoN ki yaad aayee
thaki aakhoN meiN askhoN ke sitaare jhilmilaate haiN

ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate haiN

Awaara hai galiyon mein main aur meri tanhaayee

awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee
jaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai
rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

Hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi

hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
chalke gulaabi, chalke gulaabi
taqdeer dil ki khaana kharaabi

jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN
jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN
hasrat na koi reh jaaye baaki

kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge
bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge

bas raat bhar ke mehmaan hum haiN
zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN
baaki rahega saagar na saaqi

Pareshaan raat saari hain sitaron tum to so jaao

pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO

Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye mujhe

yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe

wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha
wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe

wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe

maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel'
gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe

Milkar juda huye tho na soya karenge hum

milkar juda huye tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum

Tumhare anjuman se uthke diwane kahaan jaate

tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate
junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate

tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki
tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate

chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni
warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate

Pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye

pehle to apne dil ki raza jaan jayeeye
fir jo nigah-e-yaar kahe maan jayeeye

pehle mijaaz raah guzar jaan jayeeye
fir kard-e-raah jo bhi kahe maan jaayeye

kuchh keh rahi hai aapke seene ki dhadkane
mera nahi to dil ka kaha maan jayeeye

ik dhoop si jami hai nigaahoN ke aas paas
ye aap haiN to aap pe kurbaan jayeeye

shayad huzoor se koi nisbat hame bhi ho
aaNkhO me jhaank kar hame pehchaan jayeeye

Sadma hai mujhe bhi ke tujhse juda hoon main

sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN

Apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko

apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko

muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
ye teri saadaa-dili maar na Daale muJhko

khud ko maiN baaNt na DaalooN kahiN daaman-daaman
kar diya tune agar mere hawaale muJhko

waada fir waada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qateel'
shaRt ye hai koi baahoN meiN sambhaale muJhko